- Get link
- Other Apps
Natural Hair Dye Hum apkay liye laye hain baalon ko naturally dye karnay ka tariqa. Aj kal kay dye baalon ko buri tarhan kharab kar detay hain aur yehi nahu balkay baalon kay girnay ka baes bantay hain Is totkay ko azma kar ap bna saktay hain Natural hair dye apnay he ghar main Ajza: Honey : 2 chamch Lemon : 2 adad Mehndi: hasb e zaroorat Chai ka kawa: 1 cup Hair oil: 2 chamch Method : Tamam ajza ko achi tarhan mix karlein aur phir 20 min kay liye para rehnay dein. Jab 20 min baad ye paste ban jaye tu ye paste apnay baalon par jar say akhar tak achi tarhan laga lein. Phir baalon par shopper ya cap charha lein takay ye mehndi ka rang kahien aur na lagay. 2 ghantay baad sir ko achi tarhan saday pani say dho lein. Shampoo ka istemal zaroor karien